Archive for August, 2008

barsoN ke baad dekhaa ik shaKhs dil-rubaa saa

ab zehan meN nahiN hai par naam thaa bhalaa saa

abru khiNche khiNche se aaNkheN jhuki jhuki si

baateN ruki ruki si lahjaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnu aawaaz ke safar meN

ban jaaye jangaloN meN jis tarah raastaa saa

KhwaaboN meN Khwaab us ke yaadoN meN yaad us ki

niindoN meN ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa saa

pehle bhi log aaye kitne hi zindagi meN

wo har tarah se lekin auroN se thaa judaa saa

agli muhabbatoN ne wo naa-muraadiyaaN diN

taazaa rafaaqatoN se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddatoN se ham bhi nahiN the roye

kuchh zahar meN bujhaa thaa ahbaab kaa dilaasaa

phir yuuN huaa ke saawan aaNkhoN meN aa base the

phir yuuN huaa ke jaise dil bhi thaa aablaa saa

ab sach kaheN to yaaro ham ko Khabar nahiN thi

ban jaaye gaa qayaamat ik waaqiyaa zaraa saa

tewar the beruKhi ke andaaz dosti ke

wo ajnabi thaa lekin lagtaa thaa aashnaa saa

ham dasht the keh dariyaa ham zehar the keh amrit

naahaq thaa zo´am ham ko jab wo nahiN thaa pyaasaa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan

apnaa bhi haal hai ab logo ‘Faraz’ kaa saa

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

badan meN aag si chehraa gulaab jaisaa hai
keh zahar-e-Gham kaa nashaa bhi sharaab jaisaa hai

kahaaN wo qurb keh ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi Khwaab jaisaa hai

magar kabhi koi dekhe koi paRe to sahi
dil aainaa hai to chehraa kitaab jaisaa hai

wo saamne hai magar tishnagi nahiN jaati
yeh kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai

‘Faraz’ sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahi
hameN aziiz hai Khaanaa-Kharaab jaisaa hai

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

aise chup haiN keh yeh manzil bhi kaRi ho jaise
teraa milnaa bhi judaai ki ghaRi ho jaise

apne hi saaye se har gaam laraz jaataa huuN
raaste meN koi diiwaar khaRi ho jaise

manzileN duur bhi haiN manzileN nazdiik bhi haiN
apne hi paaoN meN zanjiir paRi ho jaise

kitne naadaan haiN tere bhulne waale keh tujhe
yaad karne ke liye umr paRi ho jaise

aaj dil khol ke roye haiN to yuuN Khush hai ‘Faraz’
chand lamhoN ki ye raahat bhi baRi ho jaise

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

ab naye saal ki mohlat nahiN milne waali
aa chuke ab to shab-o-roz azaaboN waale

ab to sab dashnaa-o-Khanjar ki zubaaN bolte haiN
ab kahaaN log muhabbat ke nisaaboN waale

zindaa rehne ki tamannaa ho to ho jaate haiN
faaKhtaaoN ke bhi kirdaar uqaaboN waale

na mere zaKhm khile haiN na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hi nahiN ab ke gulaaboN waale

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tanman kaa jo doniim huaa

us Khwaab kaa jo reza reza un aaNkhoN ki taqdiir huaa
us naam kaa jo TukRa TukRa galiyoN meN betauqiir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaaroN meN nilaam hui
us miTTi ka jis ki hurmat mansuub uduu ke naam hui

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jari bhi nahiN
us zaKhm ka jo siine pe na tha us jaan ka jo waari bhi nahiN

us Khuun kaa jo badqismat tha raahoN meN bahaaya tan meN raha
us phuul kaa jo beqiimat thaa aaNgan meN khilaa yaa ban meN raha

us mashriq kaa jis ko tum ne neze ki anni marham samjhaa
us maGharib kaa jis ko tum ne jitna bhi luuTaa kam samjhaa

un maasuumoN kaa jin ke lahu se tum ne farozaaN raateN kiN
yaa un mazluumoN kaa jis se Khanjar ki zubaaN meN baateN kiN

us mariyam kaa jis ki iffat luT`ti hai bhare baazaaroN meN
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gham-KhwaaroN meN

in nauhaagaroN kaa jin ne hameN Khud qatl kiyaa Khud rote haiN
aise bhi kahiN dam-saaz hue aise jallaad bhi hote haiN

un bhuuke nange DhaaNchoN kaa jo raqs sar-e-baazaar kareN
yaa un zaalim qazzaaqoN kaa jo bhes badal kar waar kareN

yaa un JhuuTe iqraaroN kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaroN kaa jo aur bhi dukh kaa nishaanaa hue

is shaahi kaa jo dast-ba-dast aai hai tumhaare hisse meN
kyoN nang-e-watan ki baat karo kyaa rakhaa hai is qisse meN

aaNkhoN meN chhupaaye ashkoN ko hoNThoN meN wafaa ke bol liye
is jashn meN bhi shaamil huuN nauhoN se bharaa kashkol liye

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

ab ke tajdiid-e-wafaa kaa nahiN imkaaN jaanaaN
yaad kyaa tujh ko dilaayeN teraa paimaaN jaanaaN

yuuN hi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate haiN insaaN jaanaaN

zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehsaaN jaanaaN

dil yeh kehtaa hai keh shaayad ho fasurdaa tu bhi
dil ki kyaa baat kareN dil to hai naadaaN jaanaaN

awwal-awwal ki muhabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi teraa chehraa thaa gulistaaN jaanaaN

aaKhir aaKhir to ye aalam hai keh ab hosh nahiN
rag-e-miinaa sulag uThi keh rag-e-jaaN jaanaaN

muddatoN se yeh aalam na tawaqqo na ummiid
dil pukaare hi chalaa jaataa hai jaanaaN jaanaaN

ham bhi kyaa saadaa the ham ne bhi samajh rakhaa thaa
Gham-e-dauraaN se judaa hai Gham-e-jaanaaN jaanaaN

ab keh kuchh aisi saji mehfil-e-yaaraaN jaanaaN
sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaaN jaanaaN

har koi apni hi aawaaz se kaaNp uThtaa hai
har koi apne hi saaye se hiraasaaN jaanaaN

jis ko dekho wohi zanjiir-ba-paa lagtaa hai
shehar kaa shehar huaa daaKhil-e-zindaaN jaanaaN

ab teraa zikr bhi shaayad hi Ghazal meN aaye
aur se aur huaa dard kaa unwaaN jaanaaN

ham keh ruuThi hui rut ko bhi manaa lete the
ham ne dekhaa hi na thaa mausam-e-hijraaN jaanaaN

hosh aayaa to sabhi Khwaab the rezaa-rezaa
jaise uRte huye auraaq-e-pareshaaN jaanaaN

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

ab ke rut badli to Khushbu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuuloN ki tarah mehkeNge par dekhegaa kaun

dekhnaa sab raqs-e-bismal meN magan ho jaayeNge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun

wo hawas ho yaa wafaa ho baat mehruumi ki hai
log to phal-phuul dekheNge shajar dekhegaa kaun

ham chiraaGh-e-shab hi jab Thehre to phir kyaa sochnaa
raat thi kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun

aa fasiil-e-shehar se dekheN Ghaniim-e-shehar ko
shehar jaltaa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

aaNkh se duur na ho dil se utar jaaye gaa
waqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaaye gaa

itnaa maanuus na ho Khilwat-e-Gham se apni
tu kabhi Khud ko bhi dekhe gaa to Dar jaaye gaa

tum sar-e-raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaaye gaa

zindagi teri ataa hai to ye jaane waalaa
teri baKhshish teri dehliiz pe dhar jaaye gaa

Duubte Duubte kashti ko uchhaalaa de duuN
maiN nahiN koi to saahil pe utar jaaye gaa
 
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
zaalim ab ke bhi na roye gaa to mar jaaye gaa

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

koi chehraa huaa roshan na ujaagar aaNkheN
aainaa dekh rahi thiN meri patthar aaNkheN
.
le uRhi waqt ki aaNdhi jinheN apne ham-raah
aaj phir DhuuND rahi haiN wahi manzar aaNkheN
.
phuuT nikliN to kai shehr-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasti hui banjar aaNkheN
.
us ko dekhaa hai to ab shauq kaa wo aalam hai
apne halkoN se nikal aai haiN baahar aaNkheN
.
tu nigaahoN ki zabaaN Khuub samajhtaa hogaa
teri jaanib to uThaa karti haiN aksar aaNkheN
.
log marte na dar-o-baam se Takraa ke kabhi
dekh lete jo ‘Kamaal’ us ki samandar aaNkheN
.

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

ajnabi Khauf fizaaoN meN basaa ho jaise
sahar kaa shehar hi aaseb-zadaa ho jaise

.
raat ke pichhle pehar aati haiN aawaazeN si
duur sehraa meN koi chiiKh rahaa ho jaise
.
dar-o-diiwaar pe chhaai hai udaasi aisi
aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise
.
muskuraataa huuN pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehre ki lakiiroN pe sajaa ho jaise

.
ab agar Duub gayaa bhi to maruuN gaa na ‘Kamaal’
behte paani pe meraa naam likhaa ho jaise
.

Share This Post

Tags: , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,